Ghazal
jafaun se tumhari apni takmeel e wafa ho gi
khiirad ki ibtida hogi junoo ki intahaa ho gi
kisi ke dil ki duniya bhi kabhi dard aashna hogi
jo mere dil se ubhray gi wohi us ki sada ho gi
woh jeeney bhi nahi dete woh marnay bhi nahi dete
to phir yeh zindagi kaisay busr mere kkhuda hogi
uthaya jaam saqi ne mere agay se yeh keh kar
agar tum aur pi lo ge to mehfil be maza hogi
mujhe har baar dhoka deti hai dharkan marey dil ki
yehi har dam samjhta hon tri aawaz e pa hogi
meri baton pay chup rehna marey ronay pay hans dena
mein samjha yeh bhi us ke husn ki koi ada hogi
jalein gi aur bujheen gi shammen un ki bazm mein lekin
na hoga josh jis mehfil mein woh mehfil bhi kya hogi
A G Josh